Sunday, 4 May 2014

Widgets

Ahmad Faraz Poetry and SMS Juda Hoye Bhi Zamana in urdu

Posted By : Anonymous | Sunday, 4 May 2014 first to comment!
PUT YOUR PARSED ADSENSE CODE HERE
We offer the best collection of Ahmed Faraz poetry. Read faraz shayari about love, mohabbat, urdu ghazals, nazam and inspirational poetry.
We offer the best collection of Ahmed Faraz poetry.

Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua

Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua
Ab Kyaa Kahen Ye Qissa Purana Bohat Hua

Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-e-firaq
Ai Marg-e-na-gahan Tera Aana Bohat Hua

Ham Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda
Itne Se Vaqiye Ka Fasana Bohat Hua

Ab Ham Hain Aur Sare Zamane Ki Dushmani
Us Se Zara Sa Rabt Barhana Bohat Hua

Ab Kyun Na Zindagi Pe Mohabat Ko Vaar Dain
Is Ashiqi Mein Jaan Se Jana Bohat Hua

Ab Tak To Dil Ka Dil Se Ta’aaruf Na Ho Saka
Mana Ki Us Se Milna Milana Bohat Hua

Kya Kya Na Ham Kharaab Hoye Hain Magar Ye Dil
Ai Yaad-e-yaar Teraa Thikaana Bohat Hua

Kahta Tha Naasehon Se Mere Munh Na Aaiyo
Phir Kyaa Thaa Ek Huu Kaa Bahaana Bahut Hua

Lo Phir Tire Labon Pe Usii Bewafa Ka Zikr
Ahmad ‘faraz’ Tujh Se Kahaa Na Bohat Hua

Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!





0 comments : Post Yours! Read Comment Policy ▼
PLEASE NOTE:
We have Zero Tolerance to Spam. Chessy Comments and Comments with Links will be deleted immediately upon our review.

Post a Comment

Your feedback is always appreciated. We will try to reply to your queries as soon as time allows.

Note:
1. To add HTML CODE in comments then please use our HTML Encoder
2. You can always Test the tutorial on our HTML Editor
3. Please do not spam Spam comments will be deleted immediately upon our review.

Regards,
Imtiaz Ahmed

  • Tips And Tricks
  • Template
  • Make Money
  • Widget
  • Sitemap
  • Back To Top